Aah ko chahiye ek umr asar hone tak- Ghalib

Aah ko chahiye ek umr asar hone tak
Kaun jita hai teri zulf ke sar hone tak

Aashiqui sabr talab aur tamanna betaab 
Dil ka kya rang karun khoon-e-jigar hone tak

Humne maana ke taghaful na karoge lekin 
Khaak ho jayenge hum tumko khabar hone tak

Partav-e-khur se hai shabnam ko fanaa ki taleem
Main bhi huñ ek inayat ki nazar hone tak

Gham-e-hasti ka 'Asad' kis se ho juz Marg ilaaj
Shama har rang mein jalti hai sahar hone tak 

-Mirza 'Ghalib'

Previous
Next Post »