PARESHAN HO KE MERI KHAAK AAKHIR DIL NA BAN JAYE




Pareshan Ho Ke Meri Khaak Aakhir Dil Na Ban Jaye
Jo Mushkil Ab Hai Ya Rab Phir Wahi Mushkil Na Ban Jaye


Na Kar Dein MujhKo Majboor-e-Nawa Firdous Mein Hoorain
Mera Souz-e-Darooñ Phir Garmi-e-Mehfil Na Ban Jaye

Kabhi Chhodi Huwi Manzil Bhi Yaad Aati Hai Raahi Ko
Khatak Si Hai, Jo Seene Mein, Gham-e-Manzil Na Ban Jaye

Banaya Ishq Ne Darya-e-Na-Paida Karañ Mujh Ko
Ye Meri Khud Nigahdari Mera Sahil Na Ban Jaye

Urooj-e-Aadam-e-Khaki Se Anjum Sehme Jate Hain
Ke Ye Toota Hua Tara Mah-e-Kamil Na Ban Jaye


-Dr. Muhammad Iqbal



Previous
Next Post »