Aankh mein pani rakho honton pe chingari rakho- Rahat Indori


Aankh mein pani rakho honton pe chingari rakho- Rahat Indori


Aankhmeinpanirakhohonton pechingari rakho

zindarahnahaitotarkibenbahutsari rakho

rah ke patthar se badh kar kuchh nahin hain manzilen

raste aawaz dete hain safar jari rakho

ek hi naddi ke hain ye do kinare dosto

dostana zindagi se maut se yari rakho

aate jate pal ye kahte hain hamare kan mein

kuch ka elaan hone ko hai tayyari rakho

ye zaruri hai ki aankhon ka bharam qayem rahe

neend rakho ya na rakho Khwab meyari rakho

ye hawayenuddnajayen leke kaghaz ka badan

dosto mujh par koi patthar zara bhaari rakho

le to aae shayari bazar mein 'rahat' miyan

kya zaruri hai ki lahje ko bhi bazari rakho

Previous
Next Post »