aankh bhar aayi kisi se jo mulaqat huyi
khushk mausam tha magar toot ke barsat huyi
din bhi duba ki nahin ye mujhe malum nahin
jis jagah bujh gaye aankhon ke diye raat huyi
koi hasrat koi arman koi khwahish hi na thi
aise aalam mein meri khud se mulaqat hui
ho gaya apne padosi ka padosi dushman
aadamiyyat bhi yahan nazr-e-fasadat huyi
isi honi ko to qismat ka likha kahte hain
jeetne ka jahan mauqa tha wahin maat huyi
is tarah guzra hai bachpan ki khilaune na mile
aur jawani mein budhape se mulaqat hui

-Manzar bhopali
ConversionConversion EmoticonEmoticon