Na tu zameeñ ke liye na asman ke liye- Allama Iqbal

Na tu zameeñ ke liye na asmañ ke liye- Allama Iqbal

Na tu zameen ke liye na asman ke liye- Allama Iqbal


Na tu zameeñ ke liye na asmañ ke liye
Jahañ hai tere liye tu nahiñ jahañ ke liye

Ye aqal-o-dil hai sharar shola-e-mohabbat ke
Wo khar-o-khas ke liye hai ye neestañ ke liye

Maqam-e-parvarish-aah-o-nala hai chaman
Na sair-e-gul ke liye na asmañ ke liye

Rahega raavi-o-neel-o-furaat mein kab tak
Tera safeena to hai behar-e-bekarañ ke liye

Nishan-e-raah dikhate the jo sitaron Ko 
Taras gayen hain kisi mard-e-raah daañ ke liye 

Nigah buland sukhan Dilnawaz jaañ pursoz
Yehi hai rakht-e-safar meer-e-qarwañ ke liye

Mere gulu mein hai ek naghma jibraeel ashob
Sambhal kar jise rakha hain la-makañ ke liye

-Dr.Muhammad Iqbal






Oldest