Apne chehre se jo zahir hai chhupayen kaise- 'Waseem Barelvi'

Apne chehre se jo zahir hai chhupayenkaise
Teri marzi ke mutabiq¹nazar aayen kaise

Ghar sajaane ka tasawwur² to bahut baad ka hai
Pahle ye tai ho ki is ghar ko bachayen kaise
Lakh talwaren badhi aati hon gardan ki taraf
Sar jhukana nahin aata to jhukayen kaise


QahQaha³ aankh ka bartao badal deta hai
Hansne wale tujhe aansu nazar aayen kaise
Phul se rang juda hona koi khel nahin
Apni mitti ko kahin chhod ke jayen kaise

Koi apni hi nazar se to hamein dekhega
Ek qatre ko samundar nazar aayen kaise
Jis ne danista⁴ kiya ho nazar-andaz 'waseem'
Us ko kuchh yaad dilayen to dilayen kaise

- Waseem Barelvi

1)- Mutabiq- like,अनुसार
2)- Tasawwur- imagination, ख़्याल
3)- QahQaha- a loudly laughing, ठहाके लगाना
4)- Danista- deliberately जानबूझकर

Previous
Next Post »