Na ye ki husn-e-tam¹ ho
Na dekhne mein aam si
Na ye ki wo chale to kahkashan² si rahguzar³ lage
magar wo sath ho to phir bhala bhala safar lage
Koi bhirut⁴(रुत)ho uskichhab⁵( छब)
Faza ka rang-roop thi
Wo garmiyon ki chhanw thi
Wo sardiyon ki dhup thi
Na muddaton juda rahe
Na sath subh-o-sham ho
Na rishta-e-wafa pe zid
Na ye ki izn-e-aam⁶ ho
Na aisi Khush-libasiyan
Ki sadgi gila kare
Na itni be-takallufi⁷
Ki aaina haya kare
Naikhtilat⁸meinworam⁹(रम)
Ki bad-maza hon Khwahishen
Na is qadar supurdagi
Ki zach¹⁰(ज़च)karennawazishen
Na aashiqui junun ki
Ki zindagi azab ho
Na is qadar kathor-pan
Ki dosti Kharabho
Kabhi to baat bhi khafi¹¹
Kabhi sukoot ¹²bhi sukhan
Kabhi to kisht-e-zafaran ¹³
Kabhi udasiyon ka ban
Suna hai ek umr hai
Muamalat-e-dil ki bhi
Visal-e-jaan-fazañ¹⁴to kya
Firaq-e-jaangusil¹⁵ki bhi
So ek roz kya hua
Wafa pe bahs chhid gayi
Main ishq ko amar kahun
Wo meri zid se chid gayi
Main ishq ka aseer ¹⁶tha
Wo ishq ko qafas¹⁷ kahe
Ki umr bhar ke sath ko
Wo bad-tar-az-hawas¹⁸ kahe
Shajar ¹⁹hajar²⁰nahin ki hum
Hamesha pa-ba-gil²¹rahen
Na dhor hain ki rassiyan
Gale mein mustaqil rahen
Mohabbaton ki wusaten ²²
Hamare dast-o-pa²³mein hain
Bas ek dar se nisbaten
Sagan-e-ba-wafa mein hain
Main koi panting nahin
Ki ek frame mein rahun
Wahi jo man ka meet ho
Usi ke prem mein rahun
Tumhaari soch jo bhi ho
Main us mizaj ki nahin
Mujhe wafa se bair hai
Ye baat aaj ki nahin
Na us ko mujh pe man tha
Na mujh ko us pe zaam²⁴ hi
Joahd²⁵(अहद) hikoi na ho
To kya gham-e-shikastagi²⁶
So apna apna rasta
Hansi-khushi badal diya
wo apni rah chal padi
main apni rah chal diya
bhali si ek shakl thi
bhali si us ki dosti
ab us ki yaad raat din
nahin, magar kabhi kabhi
- AHMAD FARAZ
¹ complete beauty, ² galaxy, ³path, ⁴season, ⁵style,⁶general permission,
⁷ informality,⁸ amity, ⁹ elopement ¹⁰ irritate, ¹¹ hidden,
¹² silence, ¹³ harvest of saffron, ¹⁴ life nourishing union of lover
¹⁵ life claiming separation ¹⁶ slave, ¹⁷ cage,
¹⁸ worse than lust, ¹⁹ plant, ²⁰ stone, ²¹ helpless
²² dimensions, ²³ hand & feet, ²⁴ pride ²⁵ promise,
²⁶ pain of breakage
ConversionConversion EmoticonEmoticon