Tareekiyon ko aag lage aur diya jale Ye Raat bain karti rahe aur diya jale:- tehzeeb hafi

 Tareekiyon ko aag lage aur diya jale:- tehzeeb hafi


Tareekiyon ko aag lage aur diya jale written by tehzeeb hafi best ghazal shayari

Tareekiyon ko aag lage aur diya jale

Ye Raat bain karti rahe aur diya jale 


Uski zabañ mein itna asar hai ke nisf shab

Wo Roshani ki baat kare aur diya jale


Tum Chahte ho ke tumse bichad ke bhi khush rahun

Yani hawa bhi chalti rahe aur diya jale


Kya mujhse bhi azeez hai tumko diye ki lau

Phir to mera mazaar bane aur diya jale


Suraj to meri aankh se aage ki chiz hai 

Main chahta hun shaam dhale aur diya jale


Tum lautne mein der na karna ke ye na ho

Dil teergi mein dhub chale aur diya jale


@tehzeeb hafi


##################

तारीकियों को आग लगे और दिया जले:- तहज़ीब हाफी


तारीकियों को आग लगे और दिया जले

ये रात बैन करती रहे और दिया जले


उसकी ज़बाँ में इतना असर है के निस्फ़ शब

वो रोशनी की बात करे और दिया जले


तुम चाहते हो कि तुमसे बिछड़ के भी खुश रहूँ

यानि हवा भी चलती रहे और दिया जले


क्या मुझसे भी अज़ीज़ है तुमको दिए की लौ

फिर तो मेरा मज़ार बने और दिया जले


सूरज तो मेरी आँख से आगे की चीज़ है

मैं चाहता हूँ शाम ढले और दिया जले


तुम लौटने में देर ना करना के ये ना हो 

दिल तीरगी में डुब चले और दिया जले


@तहज़ीब हाफी

Previous
Next Post »