Mere dil ki raakh kured mat, ise muskura ke hawa na de:- Bashir Badr

Mere dil ki raakh kured mat, ise muskura ke hawa na de:- Bashir Badr


Mere dil ki raakh kured mat, ise muskura ke hawa na de written by Bashir Badr


Mere dil ki raakh kured mat, ise muskura ke hawa na de

ye charagh phir bhi charagh hai, kahin tera haath jala na de


naye daur ke naye khwab hain, naye mausamon ke gulab hain

ye mohabbaton ke charagh hain, inhe nafraton ki hawa na de


zara dekh chand ki pattiyon ne, bikhar bikhar ke tamam shab

tera naam likha hai ret par, koi lehar aa ke mita na de


main udasiyan na saja sakun, kabhi jism-o-jañ ke mazar par

na diye jalen meri aankh mein, mujhe itni sakht saza na de


mere saath chalne ke shauq mein, badi dhoop sar pe uthaega

tera naak naqsha hai mom ka, kahin gham ki aag ghula na de


main ghazal ki shabnami aankh se, ye dukhon ke phool chuna karun

meri saltanat mera fan rahe mujhe taj-o-takht khuda na de


@bhaseer badr


#####################

मेरे दिल की राख़ कुरेद मत, इसे मुस्कुरा के हवा ना दे:- बशीर बद्र


मेरे दिल की राख़ कुरेद मत, इसे मुस्कुरा के हवा ना दे

ये चराग़ फिर भी चराग़ है, कहीं तेरा हाथ जला ना दे


नए दौर के नए ख़्वाब हैं, नए मौसमों के गुलाब हैं

ये मोहब्बतों के चराग़ हैं, इन्हें नफ़रतों की हवा ना दे


ज़रा देख चाँद की पत्तियों ने, बिखर बिखर के तमाम शब

तेरा नाम लिखा है रेत पर, कोई लहर आकर मिटा ना दे


मैं उदासियाँ ना सजा सकूँ, कभी जिस्म-ओ-जाँ के मज़ार पर

ना दीये जलें मेरी आँख में, मुझे इतनी सख़्त सज़ा ना दे


मेरे साथ चलने के शौक़ में, बड़ी धूप सर पर उठाएगा

तेरा नाक नक़्शा है मोम का, कहीं ग़म की आग घुला ना दे


मैं ग़ज़ल की शबनमी आँख से, ये दुःखों के फूल चुना करूँ

मेरी सल्तनत मेरा फन रहे, मुझे ताज-ओ-तख़्त ख़ुदा ना दे ।


@बशीर बद्र

Previous
Next Post »