Lagta nahin hai dil mera ujde dayar mein:- Bahadur Shah Zafar

Lagta nahin hai dil mera ujde dayar mein:- Bahadur Shah Zafar

Lagta nahin hai dil mera ujde dayar mein, kis ki bani hai Aalam-e-na-paedar mein written by Bahadur Shah Zafar in barma or yangun or yangoon or Myanmar

Lagta nahin hai dil mera ujde dayar mein,
kis ki bani hai Aalam-e-na-paedar mein


kah do in hasraton se kahin aur ja basen,
itni jagah kahañ hai dil-e-dagh-dar mein


kanton ko mat nikal chaman se 'o' baghban,
ye bhi gulon ke saath pale hain bahar mein


bulbul ko baghban se na sayyad se gila,
qismat men qaid likhi thi fasl-e-bahar mein

Ek shakh Gul pe baith kar bulbul hai shadmaan,
Kaante bicha diye hain dil-e-laal-e-zaar mein

umr-e-daraaz maang ke laye the chaar din
do Aarazu mein kat gaye, do intazar mein

kitna hai bad-nasib ‘zafar’ dafn ke liye
do gaz zamin bhi na mili ku-e-yar mein

@Bahadur Shah Zafar

#######################
लगता नहीं है दिल मिरा उजड़े दयार में:- बहादुर शाह ज़फ़र

लगता नहीं है दिल मिरा उजड़े दयार में ।
किस की बनी है आलम-ए-ना-पाएदार में ।।

कह दो इन हसरतों से कहीं और जा बसें ।
इतनी जगह कहाँ है दिल-ए-दाग़-दार में ।।

काँटों को मत निकाल चमन से ओ बाग़बाँ ।
ये भी गुलों के साथ पले हैं बहार में ।।

बुलबुल को बाग़बाँ से न सय्याद से गिला ।
क़िस्मत में क़ैद लिक्खी थी फ़स्ल-ए-बहार में ।।

एक शाख गुल पे बैठ के बुलबुल है शादमान,
कांटे बिछा दिए हैं दिल-ए-लाल-ए-ज़ार में।

उम्र-ए-दराज़ माँग के लाये थे चार दिन ।
दो आरज़ू में कट गये दो इन्तेज़ार में ।।

कितना है बदनसीब ज़फ़र दफ्न के लिए ।
दो गज़ ज़मीन भी ना मिली कू ए यार में ।।


@बहादुर शाह ज़फ़र

Previous
Next Post »