Kabhi Ae Naujawan Muslim, Tadabbur Bhi Kiya Tu Ne:- Dr. Muhammad Iqbal

Kabhi Ae Naujawan Muslim, Tadabbur  Bhi Kiya Tu Ne:- Dr. Muhammad Iqbal


Kabhi Ae Naujawan Muslim, Tadabbur  Bhi Kiya Tu Ne:- Dr. Muhammad Iqbal


Kabhi Ae Naujawan Muslim, Tadabbur  Bhi Kiya Tu Ne
Woh Kya Gardoon Tha Tu Jis Ka Hai Ek Toota Huwa Tara


Tujhe Iss Qoum Ne Pala Hai Aghosh-e-Muhabbat Mein
Kuchal Dala Tha Jis Ne Paon Mein Taj-e-Sar-e-Dara


Tamaddun Afreen, Khallaq-e-Aaeen-e-Jahandari
Woh Sehra-e-Arab Yani Shutar-Banon Ka Gehwara


Sama ‘Al-Faqru Fakhri’ Ka Raha Shan-e-Amarat Mein
‘Baab-o-Rang-o-Khal-o-Khat Che Hajat Rooye Zaibara’


Gadai Mein Bhi Woh Allah Wale The Ghayoor Itne
Ke Mun’em Ko Gada Ke Dar Se Bakhshish Ka Na Tha Yara


Gharz Main Kya Kahun Tujh Se Ke Woh Sehra Nasheen Kya The
Jahangeer-o-Jahan Dar-o-Jahan Baan-o-Jahan Aara


Agar Chahon To Naqsha Khainch Kar Alfaz Mein Rakh Dun
Magar Tere Takhiyyul Se Se Fazoon Tar Hai Woh Nazara


Tujhe Aaba Se Apne Koi Nisbat Ho Nahin Sakti
Ke Tu Guftar Woh Kirdar, Tu Sabit Woh Sayyara


Ganwa Di Hum Ne Jo Aslaf Se Meeras Payi Thi
Surreya Se Zameen Par Asman Ne Hum Ko De Mara


Hukumat Ka To Kya Rona Ke Woh Ek Aarzi Shay Thi
Nahin Dunya Ke Aaeen-e-Musallam Se Koi Chara


Magar Woh Ilm Ke Moti, Kitabain Apne Aaba Ki
Jo Dekhain In Ko Yourap Mein Tou Dil Hota Hai Seepara

@Dr. Muhammad Iqbal
Previous
Next Post »