Muhasara: AHMAD FARAZ

 Muhasara:

AHMAD FARAZ


Muhasara:  AHMAD FARAZ


Mere Ghanim Ne Mujh Ko Payam Bheja Hai 


Ki Halqa-zan Hain Mere Gird Lashkari Us Ke 


Fasil-e-shahr Ke Har Burj Har Manare Par 


Kaman-ba-dast Sitada Hain Askari Us Ke 


Wo Barq Lahar Bujha Di Gai Hai Jis Ki Tapish 


Wajud-e-khak Mein Aatish-Fishan Jagati Thi 


Bichha Diya Gaya Barud Us Ke Pani Mein 


Wo Ju-e-ab Jo Meri Gali Ko Aati Thi 


Sabhi Durida-dahan Ab Badan-Darida Hue 


Supurd-e-dar-o-rasan Sare Sar-Kashida Hue 


Tamam Sufi O Salik Sabhi Shuyukh O Imam 


Umid-e-lutf Pe Aiwan-e-Kaj-kulah Mein Hain 


Moazzazin-e-adalat Bhi Half Uthane Ko 


Misal-e-sail-e-mubarram Nashista Rah Mein Hain 


Tum Ahl-e-harf Ki Pindar Ke Sana-Gar The 


Wo Aasman-e-hunar Ke Nujum Samne Hain 


Bas Ek Musahib-e-darbar Ke Ishaare Par 


Gada-garan-e-sukhan Ke Hujum Samne Hain 


Qalandaran-e-wafa Ki Asas To Dekho 


Tumhaare Sath Hai Kaun Aas-Pas To Dekho 


So Shart Ye Hai Jo Jaan Ki Aman Chahte Ho 


To Apne Lauh-o-qalam Qatl-gah Mein Rakh Do 


Wagarna Ab Ke Nishana Kaman-daron Ka 


Bas Ek Tum Ho So Ghairat Ko Rah Mein Rakh Do 


Ye Shart-nama Jo Dekha To Elchi Se Kaha 


Use Khabar Nahin Tarikh Kya Sikhati Hai 


Ki Raat Jab Kisi Khurshid Ko Shahid Kare 


To Subh Ek Naya Suraj Tarash Lati Hai 


So Ye Jawab Hai Mera Mere Adu Ke Liye 


Ki Mujh Ko Hirs-e-karam Hai Na Khauf-E-khamyaza 


Use Hai Satwat-e-shamshir Par Ghamand Bahut 


Use Shikoh-e-qalam Ka Nahin Hai Andaza 


Mera Qalam Nahin Kirdar Us Muhafiz Ka 


Jo Apne Shahr Ko Mahsur Kar Ke Naz Kare 


Mera Qalam Nahin Kasa Kisi Subuk-sar Ka 


Jo Ghasibon Ko Qasidon Se Sarfaraaz Kare 


Mera Qalam Nahin Auzar Us Naqab-zan Ka 


Jo Apne Ghar Ki Hi Chhat Mein Shigaf Dalta hai 


Mera Qalam Nahin Us Duzd-E-nim-shab Ka Rafiq 


Jo Be-charagh Gharon Par Kamand Uchhaalta Hai 


Mera Qalam Nahin Tasbih Us Maballigh ki 


Jo Bandagi Ka Bhi Har Dam Hisab Rakhta hai 


Mera Qalam Nahin Mizan Aise Aadil Ki 


Jo Apne Chehre Pe Dohra Naqab Rakhta Hai 


Mera Qalam To Amanat Hai Mere Logon Ki 


Mera Qalam To Adalat Mere Zamir Ki Hai 


Isi Liye To Jo Likkha Tapak-e-jaan Se likha 


Jabhi To Loch Kaman Ka Zaban Tir Ki Hai 


Main Kat Girun Ki Salamat Rahun Yaqin Hai Mujhe 


Ki Ye Hisar-e-sitam Koi To Giraega 


Tamam Umr Ki Iza-nasibiyon Ki Qasam 


Mere Qalam Ka Safar Raegan Na Jaega 


Sarisht-e-ishq Ne Uftadgi Nahin Pai 


Tu Qadd-e-sarw Na Bini O Saya-paimai



Muhasara:


AHMAD FARAZ



Previous
Next Post »