har ek ki har pasand thahre har ek ka intikhab nikle,
hami ko achchha bataya sab ne hami ziyaada kharab nikle
sawal tha is taraf ana ka waqar ka masala udhar tha,
na dar pe khana-kharab pahunche na ghar se aali-janab nikle
kai adaon ne gudgudaya kai nigahon ne dastaken din,
ye waqiye dil-nashin bahut the magar haqiqat mein khwab nikle
suni andheron ki sugbugahat to sham yaadon ki kahkashan se,
chhupe huye mahtab nikle bujhe huye aaftab nikle
main mutmain hun ki lab-kushai se main ne had-e-adab na todi,
wo is pe khush hai ki aaj us ke sawal sab la-jawab nikle
-AQEEL NOMANI
ConversionConversion EmoticonEmoticon