Ab khushi hai na koi dard rulane wala:- Nida Fazli

GHAZAL:-

Ab khushi hai na koi dard rulane wala:- Nida Fazli


Ab khushi hai na koi dard rulane wala written by Nida Fazli

Ab khushi hai na koi dard rulane wala

Humne apna liya har har rang zamane wala


Ek be-chehara si ummeed hai, chehara-chehara,

Jis, taraf dekhiye aane ko hai aane wala

 

Usko rukhsat to kiya tha, mujhe maloom na tha

Sara ghar le gaya ghar chhod ke jane wala


Door ke chand ko dhoondho na kisi aanchal mein

Ye ujana nahin aangan mein samane wala


Ik musafir ke safar jaisi hai, sab ki duniya

Koi jaldi mein, koi der se jane wala



@Nida Fazli


###################


ग़ज़ल:-

अब ख़ुशी है न कोई ग़म रुलाने वाला:- निदा फ़ाज़ली


अब खुशी है न कोई ग़म रुलाने वाला

हमने अपना लिया हर रंग ज़माने वाला


एक बे-चेहरा सी उम्मीद है चेहरा चेहरा

जिस तरफ़ देखिए आने को है आने वाला


उसको रुखसत तो किया था मुझे मालूम न था

सारा घर ले गया घर छोड़ के जाने वाला


दूर के चांद को ढूंढ़ो न किसी आँचल में

ये उजाला नहीं आंगन में समाने वाला


इक मुसाफ़िर के सफ़र जैसी है सबकी दुनिया

कोई जल्दी में कोई देर में जाने वाला


@निदा फ़ाज़ली

Previous
Next Post »