GHAZAL:-
Is qadar musalsal thin shiddatein judayi ki:- Ahmad Faraz
Is qadar musalsal thin shiddatein judayi ki
aaj pahli baar us se main ne bewafai ki
Warna ab talak yun tha khwahishon ki barish mein
Ya to toot kar roya ya ghazal-sarai ki
Taj diya tha kal jin ko ham ne teri chahat mein
Aaj un se majburan taaza ashnai ki
Ho chala tha jab mujhko ikhtilaf apne se
Tune kis ghadi zalim meri ham-navai ki
Tanz-o-taana-o-tohmat sab hunar hain naseh ke
Aapse koi puchhe ham ne kya burai ki
Phir qafas mein shor uttha qaidiyon ka aur sayyaad
Dekhna uda dega phir khabar rihayi ki
Dukh hua jab us dar par kal ‘faraz’ ko dekha
Laakh aib the us mein khu na thi gadai ki
@ ahmad faraz
####################
ग़ज़ल :-
इस क़दर मुसलसल थीं शिद्दतें जुदाई की:- अहमद फ़राज़
इस क़दर मुसलसल थीं शिद्दतें जुदाई की
आज पहली बार उससे मैनें बेवफ़ाई की
वरना अब तलक यूँ था ख़्वाहिशों की बारिश में
या तो टूट कर रोया या ग़ज़लसराई की
ताज दिया था कल जिन को हमने तेरी चाहत में
आज उनसे मजबूरन ताज़ा आशनाई की
हो चला था जब मुझको इख़्तिलाफ़ अपने से
तूने किस घड़ी ज़ालिम मेरी हमनवाई की
तन्ज़-ओ-ताना-ओ-तोहमत सब हुनर हैं नासेह के
आपसे कोई पूछे हमने क्या बुराई की
फिर क़फ़स में शोर उठा क़ैदियों का और सय्याद
देखना उड़ा देगा फिर ख़बर रिहाई की
दुख हुआ जब उस दर पर कल फ़राज़ को देख
लाख ऐब थे उसमे ख़ू ना थी गदाई की
@ अहमद फ़राज़
ConversionConversion EmoticonEmoticon