GHAZAL:-
Kitna dushwaar tha duniya ye hunar aana bhi:- Waseem Barelvi
Kitna dushwaar tha duniya ye hunar aana bhi
Tujh se hi faasla rakhna tujhe apnana bhi
Kaisi aadab-e-numaish ne lagayi shartein
Phool hona hi nahin phool nazar aana bhi
Dil ki bigadi huyi aadat se ye ummid na thi
Bhul jayega ye ek din tera yaad aana bhi
Jane kab shahar ke rishton ka badal jayein mizaj
Itna aasaan to nahin laut ke ghar aana bhi
Aise rishte ka bharam rakhna koi khel nahin
Tera hona bhi nahin aur tera kehlana bhi
Khud ko pehchan ke dekhe to zara ye dariya
Bhul jaayega samundar ki taraf jana bhi
Janne walon ki is bheed se kya hoga 'Waseem'
Is mein ye dekhiyein koi mujhe pahchana bhi.
@Waseem bareilvi
##################
ग़ज़ल:-
कितना दुश्वार है दुनिया ये हुनर आना भी:- वसीम बरेलवी
कितना दुश्वार था दुनिया ये हुनर आना भी
तुझ से ही फ़ासला रखना तुझे अपनाना भी
कैसी आदाब-ए-नुमाइश ने लगाईं शर्तें
फूल होना ही नहीं फूल नज़र आना भी
दिल की बिगड़ी हुई आदत से ये उम्मीद न थी
भूल जाएगा ये इक दिन तेरा याद आना भी
जाने कब शहर के रिश्तों का बदल जाए मिज़ाज
इतना आसां तो नहीं लौट के घर आना भी
ऐसे रिश्ते का भरम रखना कोई खेल नहीं
तेरा होना भी नहीं और तेरा कहलाना भी
ख़ुद को पहचान के देखे तो ज़रा ये दरिया
भूल जाएगा समुंदर की तरफ़ जाना भी
जानने वालों की इस भीड़ से क्या होगा 'वसीम'
इस में ये देखिए कोई मुझे पहचाना भी
@वसीम बरेलवी
ConversionConversion EmoticonEmoticon