Ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa:- Ahmad Faraz

 Ghazal:-

Ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa:- Ahmad Faraz


Ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa by Ahmad Faraz

Ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa

aa phir se mujhe chhod ke jaane ke liye aa 


Pehle se marasim na sahi phir bhi kabhi to

Rasm-o-rah-e-duniya hi nibhane ke liye aa


Mana ke mohabbat ka chhupana hai mohabbat

Chupake se kisi roz jatane ke liye aa


Kuchh to mere pindaar-e-mohabbat ka bharam rakh

Tu bhi to kabhi mujhko manane ke liye aa


Kis kis ko batayenge judayi ka sabab hum

Tu mujhse khafa hai to zamane ke liye aa


Jaise tujhe aate hain na aane ke bahane

Aise hi kisi roz na jaane ke liye aa


Ab tak dil-e-Khushafaham ko hain tujhse ummidein

Ye aakhiri shammeñ bhi bujhane ke liye aa


ik umr se hun lazzat-e-giriyaa se bhi mehroom

Ae rahat-e-jaañ mujhko rulane ke liye aa


@Ahmad faraz


#####################

ग़ज़ल:-

रंजिश ही सही दिल ही दुखाने के लिए आ:-अहमद फ़राज़



रंजिश ही सही दिल ही दुखाने के लिए आ

आ फिर से मुझे छोड़ के जाने के लिए आ


पहले से मरासिम न सही फिर भी कभी तो

रस्म-ओ-रह-ए-दुनिया ही निभाने के लिए आ


कुछ तो मिरे पिंदार-ए-मोहब्बत का भरम रख

तू भी तो कभी मुझ को मनाने के लिए आ


माना के मोहब्बत का छिपाना है मोहब्बत

चुपके से किसी रोज़ जताने के लिए आ


किस किस को बताएंगे जुदाई का सबब हम

तू मुझ से ख़फ़ा है तो ज़माने के लिए आ


जैसे तुझे आते हैं ना आने के बहाने

ऐसे ही किसी रोज़ ना जाने के लिए आ


अब तक दिल-ए-ख़ुश-फ़हम को तुझ से हैं उम्मीदें

ये आख़िरी शमाएं भी बुझाने के लिए आ


इक उम्र से हूं लज़्ज़त-ए-गिर्या से भी महरूम

ऐ राहत-ए-जां मुझको रुलाने के लिए आ


@ अहमद फ़राज़

Previous
Next Post »