kya dukh hai samundar ko bata bhi nahin sakta- Waseem Barelvi

 Waseem Barelvi Ghazal:-


kya dukh hai samundar ko bata bhi nahin sakta- waseem Barelvi


kya dukh hai samundar ko bata bhi nahin sakta by Waseem Barelvi


kya dukh hai samundar ko bata bhi nahin sakta

aansu ki tarah aankh tak aa bhi nahin sakta


tu chhod raha hai to khata is men teri kya

har shakhs mera saath nibha bhi nahin sakta


pyase rahe jaate hain zamane ke sawalaat

kis ke liye zinda huun bata bhi nahin sakta


ghar Dhund rahe hain mera raton ke pujari

main huun ki charaghon ko bujha bhi nahin sakta


Waise to ek aansu hi baha kar mujhe le jaaye

aise koi tufan hila bhi nahin sakta



@waseem bareilvi


#####################

वसीम बरेलवी ग़ज़ल:-

क्या दुःख है, समंदर को बता भी नहीं सकता- वसीम बरेलवी


क्या दुःख है, समंदर को बता भी नहीं सकता

आँसू की तरह आँख तक आ भी नहीं सकता


तू छोड़ रहा है, तो ख़ता इसमें तेरी क्या

हर शख़्स मेरा साथ, निभा भी नहीं सकता


प्यासे रहे जाते हैं जमाने के सवालात

किसके लिए ज़िन्दा हूँ, बता भी नहीं सकता


घर ढूँढ रहे हैं मेरा , रातों के पुजारी

मैं हूँ कि चराग़ों को बुझा भी नहीं सकता


वैसे तो एक आँसू ही बहा के मुझे ले जाए

ऐसे कोई तूफ़ान हिला भी नहीं सकता.


@वसीम बरेलवी

Previous
Next Post »

1 comments:

Click here for comments
Pritam_279
admin
March 5, 2021 at 11:57 PM ×

Raato ke pujari means

Congrats bro Pritam_279 you got PERTAMAX...! hehehehe...
Reply
avatar